kyakaisa (all type info)

All type information

.
Latest Post

 Hello friends kaise ho aap , I Hope Aap log bahut achhe honge,
aaj mai aapke liye bahut hi jabardast aur sikhne yogy ek khas topic ko leke aaya hu, Jisme maine ek achhe blogger jo internet aur technology me khas jagah rakhne walo me se ek hai,  kyuki inme kuchh karne ki jajba hai, wo aise insan hai jo logo ko kahi bhi help karne ko taiyar rahte ,chahe wo aapke samne ho ya Facebook ho ya online koi bhi social site, 

Q......Ye APko kaha -kaha madad kar sakte hai?
Ans....ye aapko facebook,facebbok page, aur sabse badi khas bat ye hai ki inka ek faceook group bhi hai jisme aap apni problem dalo waha ek se ek bande aapko help karemge ,
group me anybody aap koi nhi sawal puchh sakte hai, All Topic
ye Hai RAVI KUMAR SAHU 
FOUNDER --  anytechinfo.com 

Ab MAi aapko interview me puchhe gaye sawal aur answer ko bata raha hu, sayad isse aapko bahut kuchh sikhne ko milega.
1. Rahmat : Hello Welcome ravi ji, kya aap taiyar hai?
Ravi:Thank you rahmt , Mai ready hu.
2.Rahmat :अपने बारे में कुछ बताएं?
Ravi: Mera name ravi kumar , from bihar se hu,
Mai Graduation 2 ka student, Aur blogging karna
mera Sauk hai, Jiske Tahat mai logo Ko
Technology Ki duniya me Kuchh naya sikhane ki
koshis karta hu. aur sath internet ki bhi jankari deta hu.

3.Rahmat:आपने Blogging में कैसे प्रवेश किया?
Ravi:  Maine Blogging me us time entry liya, Jub mere
dimag me aaya, Mai apna institute ka website
banau, Maine ek website developer se bat ki, jo
bahut jayada charge bataye, to usi time maine
Google me search kiya, "how to create Website"
uske bad mujhe waha blogger ke bare me pata
chala, Phir maine blogger ke bare me janakri
Hasil, ki uske bad mera blogging me interested
badhta gaya, Aur phir maine anytechinfo.com ko
create kar diya.

4.Rahmat: .Aapki Internet Se First Income Kaise Hui Thi
Aur Us Waqt Aap Kaisa Feel Kar Rahe The?
Ravi: Maine Internet se online first income,
Snapdeal,flipcart,, jaisi website ka product? Bech
ke ki , us time mujhe Bahut khusi hui ki maine
online Saman kharida aur phir usse online bechi,
na hi hame kahi jana pada, wakai mujhe us din
bahut khusi hui.
uske Badd MAine Online website banane ka offer leta tha, aur commision dekar website banake usse paisa kamata tha,
Ab mai khud website banata hu, aur blogger wale website free me banane ke sath logo ko uske bare me sikhta bhi hu.

5.Rahmat:.Ek Successful Blogger Bane Ke Liye Hame
Kya Karna Chahiye?
Ravi:  Ek successful blogger banne ke liye , Bahut sare
point hai Kuchh Point mai Kuchh Main Fact ko
bata raha hu.
 1...Apne visitor Ke intrsted pe hi
post likhe
2.....Har hamesa Visitor Ke Sawal ka jawab
bahut jaldi dene ki koshis kare, jisse visitor aap
pe bharosa kare, Aur aapko wo support kare.
3....Blogging mehnat aur lagan se Karni chahiye.
4....har waqt Kuchh naya likhna, Aur sochna
chahiye.
5....Blogging Jitna aasan hai, usse Kai gunna
muskil, Isliye har waqt quality contant likhe, Aur
sahi contant likhe,
 6....Last me Sabse achhi
point Blogging kabhi Paisa kamane ke maksad se
nahi karni chahiye. kyuki maine 6 Month Tak Paisa Ke Bare me socha bhi nahi.

 
6.Rahmat: अपना ऑनलाइन करियर
शुरुआत करने की प्रेरणा आपको किनसे
मिली?
Ravi:Mujhe Harsh bhaiya, Jo shoutmeloud ke founder hai. unse Aur unke sath kai blogger hai jinse bahut
Kuchh sikhne ko mila, Aur mujhe aisa laga mai
online apna career aur name kama saku, Uske
Bad maine Bahut sare blogger ka experience
padhke , motivated hua. AUR Maine online carear
Yahi se start ki.

6...Rahmat: Apne Pure Din Me Se Aap Blogging Ko
Kitna Time Dete Hai?
Ravi: Maine suruati Daur me, Bahut jayada time deta
tha, lag bhag 12-14 hr present time me 3-4 hr De
deta hu, Sirf blog pe , baki apne Padhai pe dhayan deta
hu.
7.  Rahmat:.Aapke Ab Tak Ke Blogging Safar Me Aapne
Sab Se Badi Konsi Galtiya Ki Thi Jo Aap New
Blogger Se Hote Hue Nahi Dekhna Chahte ?
Ravi: Maine Suruati aur me Waisa contant , likh jo
bahut sare blogger pahele se likh chuke the,
Maine Kuchh din bad ispe focus kiya , Uske Bad
waisa post likhne laga , jo Google pe Hindi me
nahi ho. ye meri sabse badi galti thi.

2...Ye meri sabse badi galti thi mai social site pe
bahut jayada time de deta tha, Mai new blogger
se kehna chahunga Aap social site pe apna
jayada time waiste na kare, Aur Wahi time apne
blog pe de,
Social Site use kare , But dhayn rahe Jayada
time be matlab ke Kam me na de.

8.Rahmat Internet पर
हिंदी ब्लॉगर का Future क्या है?
Internet pe Hindi blogger ka future, unlimited hai,
but English Blogger ki tulna me koi khas nahi hai,
But aaj baut sare Indian log hai, jo har ek ,
Aur article Ko English jante hue bhi Hindi me
padhna chahta hai, But aaj Hindi blogger bhi
India Me rehkar bahut aage badh chuke hai, Hindi
blogger bhi aaj lakho kama rahe hai, isse lagta
hai, future me Hindi blogger bahut dur tak jayegi.


9.Rahmat:एक नए ब्लॉगर को इस
क्षेत्र में सफल होने के लिए आप क्या सलाह देना चाहेंगे ?
Ravi: Agar Koi person Blogging me interested rakhte
hai, To mai unhe Yahi salah dena chahunga,
Chahe wah blogging kare ya koi aur kam bus
unka us kam me man lagna chahiye, Uske Bad
dekhiye, kya hota hai, but bar-bar aapko lagega , aap
Jit nahi sakte Lekin kabhi Har na mane , Jaise
कभी हार मत माने क्योंकि एक पल में खेल बदल
सकता है और आप जीत सकते है ।क्योंकि
धोनी भी last बॉल पर छक्का मार देता ह,

10. Rahmat:इस क्षेत्र में आपका
Future Plan क्या है ?
Ravi: Good question, Bus mera Future plan blogging
me koi khas nahi hai, mai bus Yahi chahta hu, ye
bharat desh me koi bhi Insan internet aur
technology ki duniya me pichhe nahi rahe,
IsWebsite ka mission ye hai un logo ko success
banana jinhe study karne ke bavjud job nahi mil
pati or jo graduate hone ke bad bhi paise kamane
ke liye bhatkte hai.ek tarah se mai chahata hu
ke humare desh me koi bhi Interneting Mei Piche
nahi rahe. or aaj ke badlte time me humbhi
internet ka fayda uthaye. ghar baithe internet se
paise kama sake.Insaan Chahe Toh Kuch Bhi Kar
Sakta Hai . Bus jarurat hai sahi kadam uthane ki,
My future plan
11. Rahmat:.Site Ki Traffic Badhane Ke Liye Aap Konsi
technic Ka Use karte Hai
Ravi:  Bus Post likhta hu, usse public karne ke bad,
Anytechinfo ke Facebook page, aur anytechinfo
Facebook groups me post kar deta, Hu.Uske bad
Thoda bahut social site pe bahut sare group me
bhi kabhi-kabhi post kar deta hu.
12. Rahmat: Aap Google Adsense Ke Alawa Koi Or
Tarike Se Paise Kamate Hai
Ravi:Avi mai anytechinfo.com se Paisa nahi kama
raha hu, avi tak maine Google adsense ka add
nahi lagaya hai, Jaise hi Mere Pageview 4000+
hone lagenge, Uske Bad mai Google adsense Ka
add use karunga,

13.Rahmat: Aap Hamare Daily Readers Aur Visitors Ko
Kya Advice Dena Chahege?

Ravi:Aapke daily reader se pahlee mai aapko Kuchh
kehna chahunga, Bus Aap apne visitor Ko apne
sath achha reletion Banaye rakhe , aur Unhe aap
achhe se guide kare, Taki Wo hum Aur aap se
bhi aage badhe,
Mai Aapke visitor se Yahi kahunga, Aap Rahmat
Ali se Jude hai, iska matlb aap Kuchh karne aaye
hai, Aur jo bhi kare Bilkul dil se kare, Aur aap
inke daily readers bane rahe,
Daily reader se humlog ko parerna milti hai, jisse
Hume Kuchh na Kuchh naya sochne pe mazbur
kar deti hai,
All visitor Aap Rahmat Ali ko support kare, Aur
hum sub aapke support me.
14. Rahmat: Aapne Blogging Se Apni Life Ko Shaandar
Banaya Hai Toh Kya Aap Bata Sakte Hai Ki
Blogging Se Ham Apni Life Ko Kaise Badal
Sakte Hai
Ravi:   Aap blogging koi bhi businesses me success ho
jao, khud b khud Aadmi ki life Badal jati hai, Aap
blogging se life Badal sakte hai, Iske liye Aapko
bahut mehnat karni padegi, Life aadmi ki khud
change ho jayegi, mai kamana bhi Yahi karunga.


Tnx for this interview.  kaise lagi ravi ji ki interview aap hame comment me jarur bataye.

                                                      BEST OF LUCK


Pyar Ka Izhaar Kaise Kare Dil Ki
Baat Kahe
Pyar Ka Izhaar Kaise Kare – Aise toh bahut
tarike hain pyar ka izhaar karne ke. Lekin kayi
baar log confuse ho jate hain ki unka partner
unke pyar ko samajh payega ya nahi kahi wo
hansega toh nahi mere upar. Toh isliye kayi baar
log jo direct apne pyar ka izhaar nahi kar pate
matlab sharmate hain aur darte hain toh kayi
baar apni baat batane main hichkicha jate hain.
Agar apke sath bhi kuch aisa hota hai toh ayiye
apko bataye kaise karna chaiye apne partner ko
apne pyar ka izhaar. (Pyar Ka Izhaar Kaise Kare
Man Ki Baat Kahe).
Aap apne partner ko apne mn ki koi baat batana
chahte hain lekin bta nahi paate toh aise main
apko apne partner ko uske love se bulana
chaiye. Matlab wo naam jo aap apne partner ke
liye akser akele main use karte hain. Isse apka
partner samajh jayega ki apke dil main kya chal
raha hai aur aap apne partner se kuch kehna
chahte hain. Love name ko secret name bhi kaha
jata hai jo sirf partner ko apas main pata hota hai
or na kisi dusre ko pata hota ho. (Pyar Ka Izhaar
Kaise Kare).
Aamtaur par body language ke jariye jo baat kahi
ja sakti hai wo kisi aur ke jariye nahi kahi ja
sakti. Agar aap apne partner se apne mn ki baat
kehna chahte hain toh use pyar bhari najaro se
dekhe apni baat batane ki koshis kare.
Adheek der tak eye contact ke jariye bhi aap
apne partner ko apne mn ki baat bata sakte hain.
Lekin uske liye jaruri hai apka apne partner ke
sath eye contact hona. Agar aapne ek baar apne
partner ke sath eye contact kar liya toh definitely
aap success hoge. (Pyar Ka Izhaar Kaise Kare).
Agar aap apne partner ko pyar bhari aur choti si
smile dege toh wo khud hi apke pass kicha ayega
aur apse janne ki koshis karega ki akheer aap
chahte kya hain.
Ye aisa kiss hota hai jo kisi bhi partner ko asaani
se romantic bana deta hai. Achanak bina kuch
kahe agar aap apne partner ko bina koi ishare
kare kiss kar dete hain toh wo turant samajh
jayega ki apke dil or dimag main kya chal raha
hai. Aur bss fir jo kaam aap bolkar nahi kar paye
wo apke dil ne kar diya.
Aap apne partner ko apni baho main thaam le
aur unhe pyar karna suru karde. Aap chahe toh
apne hatho ki ungliyu se apne partner ko gudgudi
kar sakte hain, partner ko achanak yun hi chod
sakte hain. Isse apka partner apke mn ki baat
samajh jayega. (Pyar Ka Izhaar Kaise Kare).
Apne partner ko special days per special gift de
surprise de aur aone partner ko ye feel karaye ki
apke samne ye sare gift bekar hain partner se
jayda koi important nahi hai. Jab bhi aap apni
baat kehna chahte ho lekin kuch samajh na aye
ki kya kare uska behtar tarika hai apne partner
ko special feel karwaye. Partner ke liye apne
saare programs cancel kar de aur apne partner
ko is baat ka ehsaas dilaye ki apke liye koi
friends ya koi trip par jana ya fir kuch aur
important nahi hai sirf aap jaruri hain.
Agar apke partner ko kahi jana hai aur aap
chahte hain ki wo bahar na jaye balki apke sath
time spend kare toh aao aisa mood banaye
movie dekhne ya restaurant or kahi shopping
karne ke liye le jaye apka partner turant apke dil
ki baat samajh jayege aur kahi bahar apke sath
time spend karne ko turant tayar ho jayege.
Tags: Pyar Ka Izhaar Kaise Kare, Man Ki Baat
Kaise Kahe, Pyar Ka Izhaar Kaise Kare In Hindi,
Pyar Ka Izhaar Kaise Kare Shayari .
Akelapan Dur Kaise Karte Hai
Loneliness Se …
Boyfriend Ko Kaise Manaye Tricks
Jane Hindi …
Balo Ko Rangin Kaise Kare Natural
Colour
Ubhari Aankhon Ko Kaise Chupaye
Makeup Tips
Pyar Ka Izhaar Kaise Kare Dil Ki …
Dil Ki Baat Kaise Jane Tarike Aur …
Relationship Ko Kamyab Kaise
Banaye Hindi Me
Ladki Ko Impress Kaise Kare Ladki
Pataye

Lover Ka Vishwas Kaise Hasil
Kare
Hello Dosto, ek baar phir Prerna apke saath he.
Aaj me apko lover ka vishwas kaise hasil kare
iske bare me kuch khaas aasan se tips dungi.
Lover Ka Vishwas Kaise Hasil Kare
Lover Ka Vishwas Kaise Hasil Kare. Baat karke
maslo ko solve karne ki koshish kare. Apne kis
vajah se shadi ki hai aur aap ke sath bhi usi
vajah se rehna chahiye. Ek aurat tabhi acchi biwi
ban sakti hai jab vah apne aap se khush aur
santusht ho. Aap khush rehngi to sab khush
rahenge.
Agar apko shadi me fir bhi taklifh ho to
counseling ke liye jaye. Talak baccho aur app ke
liye dono ke liye hi bahut dukhdayi hota hai. Apni
shadi ko puri tarah bachane ki koshish kare aur
ek dusre ki jarurat ko samjhe.
Kayi patniya apni jimmedariye apne dharam se
nibhati hai. Lekin un shadiyo me dharam alag
alag ho dono hi pati patni ke vichar alag bhi ho
sakte hai. Apne dharm ka palan kare aur apni
jarurat ka bhi khayal rakhe. Aur jhuk ke har baat
maan lene se aap ek acche sathi nahi ban pate
hai. (Lover Ka Vishwas Kaise Hasil Kare).
Lover Ka Vishwas Kaise Hasil Kare. Jo log apne
shadi se khush hote hai vah sehat, paise aur
khushiyo se khelte hai, in logo ke bajaye jo
kunware ya talakshuda hote hai. Science ne bhi
yeh proof kiya hai ki un logo ko dil ki bimari,
cancer ya strock kam hota hai. Unke gharelu
hinsa ke bahut kam case hote hai. Aur vo acchi
jindagi vyatit karte hai.
Agar apko shadi me takliff aye to aap bahar valo
se salaah le sakte hai. Aap apne ghar valo aur
dosto se salah na de. Kyun ki vo apko galat
salah hi de payenge phir chaahe aap ke pati ke
bich sab sahi ho gaya ho. Phir bhi vo aap ko
galat samjhenge. Sabhi galat nahi te par jo
jimmedari nibhana jante he unse aap salah le
sakte he. (Lover Ka Vishwas Kaise Hasil Kare).
Yaad rakhe ki aap aur aap ke pati hamesha hi ek
jut ho ke kaam kare. Jab aap unhe unki kamyabi
tak pahuchane me madad karengi to unki
kamyabi aap ki bhi kamyabi hogi. Aap unka kaam
aasan karengi to wo aap ka ehsaan manenge.
Agar sex karte vaqt koi cheej sahi na lage to aap
unhe bata de taki vo jabardasti na kare aapke
sath. Bhagvan se wish mange ki vo aap ke sath
rahe, isliye dono ki ek jaise manyata rakhna
jaruri hai.
Aapko ye article kaise laga niche comment me
jarur likhiye.

Tags: Lover Ka Vishwas Kaise Hasil Kare, Lover
Ka Vishwas Kaise Jite, Lover Ka Vishwas Hasil
karne Ke Tarike, Lover Ka Vishwas Hasil Karne
Ke Tips, Lover Ka Vishwas Jeete, Lover Ka Trust
Kaise Jite.

Hello friends, mene mere pichle article me likha tha ki Exam me top kaise kare. Aaj hum janenge ki exam ke liye sahi rup se Padhai Kaise Kare Hoshiyar Bane. Sabse pehle padhai mai man na lagne ke karan ka pata lagana chahiye ki aakhir padhai main man kyu nahi lag raha hai ?

Padhai Kaise Kare Hoshiyar Bane
Mere hisaab se kuch normal karan ye ho sakte hain.

Padhai ka normal mahol na hona.
Padhne ka sahi time na hona.
Padhne ke liye sahi samaan ka na hona.
Sahi margadarshan ka na hona.
Other work mai busy.
Concentration ka kam hona.
Confidence ka na hona.
Karan

Mere khayal se upar likhe gaye karan se log nahi padh pate hai, inke alawa bhi anya dusre karan ho sakte hain, jo alag alag logo ke alag ho sakte hai.

Aaj inhi sadharan karan par baat karte hai. Ye sare karan mai jo mahatvapurna karan wo hai sahi margadarshan ka na hona.

Sahi margadarshan ka  competitor ki exam mai sabse mahatvapurn karan jagah hai. (Padhai Kaise Kare Hoshiyar Bane).

Jaise apko agar delhi jana hai, aur apko sahi rasta maalum nahi hai, agar apko sahi margadarshan nahi mili toh ho sakta hai, ki aap kisi tarah se delhi pahuach bhi jaye but isme apka bhut jayda time aur paise bhi waste ho sakte hai.

Magar sahi margadarshan milne par aap time ke sath paise bhi bacha sakte hai and apne lakshya par bhi time par pahunch sakte hain.

Sahi dhang se tayari shuru karne ke liye ek sahi margadarshan bahut important hai.

Kai baar hum hard work aur bahut koshish toh karte hai but success nahi hote.

Dusri taraf kuch log hard work less karte hain fir bhi wo success ho jate hai.

Iska karan unka sahi way mai mahatvapurn prayaas hota hai.

Jaise agar hum keel ko ulta pakadkar kitna bhi jor se dewar main thoke wo nahi thok sakti hai. Agar use sidha kar dene par wo thodi koshish karne par hi aram se thuk jayegi. Isi trah competitor ka sahi way mai sahi sahi koshish karna bahut jaruri hai. (Padhai Kaise Kare Hoshiyar Bane).

Tarike

Sabse pehle toh padhne ke liye ek lakshya (target) hona jaruri hai, yeh hamare liye ek prerna(motive) ka kaam karta hai.

Agar lakshya (target) nirashrit (Destitute) hai, toh hamari success Doubtful hogi.

Ek lakshya (target) hona bhut important hai. Ek se jayda lakshya (target) hone par man bhatakta hai aur padhai mai man nahi lagta hai.

Ab lakshya (target) fix karne ke baad sahi preparation jaruri hai, means hume apne lakshya (target) ke bare main poori jankari(information) jutaani hogi, ki exam kaise hogi?

Syllabus kya hai ?
Pattern kis tarah ka hai ?
Question kis tarah ke aate hai?
Lesson summery kaha se milegi, kaise milegi ?
Tayari ki Strategy kya hogi ?
Success ke liye kitni mehnat jaruri hai ?
Success logo ki kya planning rahi thi ? etc.
Agar hum in questions ke answer dhund lete hain toh humari problems ka aadha(half) solution ho jayega. Ab half solution ke liye hume apne schedule ko set karna hoga. Matlab self management, agar hum khud ko sahi tarike se comptetion ke hisaab se nahi change kar pate toh success mai doubt hoga.

Hume apni padhai ka time aur hours apni kshamata(capacity) ke anusaar fix karne hoge. Fix time period ke sath anusaran(follow) karna hoga. Iske liye hum ideals insaan, ideals articles, ideal books etc ki help le sakte hain. ((Padhai Kaise Kare Hoshiyar Bane).).

Mahatvapurna Baate

Study humesha chair table par baithkar kare, bed par letkar bilkul bhi na padhe. Letkar padhne se padha hua kabhi dimag main hi jata, ulta neend aane lag jati hai.

Padhte time television na chlaye aur radio and song bhi band rakhe.

Padhai ke waqt mobile switch off karde ya phir silent mode mai rakhe, “mobile padhai ka dushman(enemy) hai”.

Padhe hue lesson ko likhte bhi jaye isse apki concentration bhi bani rahegi aur bavishya ke liye notes prepare ho jayege.

Koi bhi lesson kam se kam 3 times padhe.

Ratne ki adat se bache, jobhi padhe uspar thoda vichar jarur kare.

Short notes jarur banaye jaise wo exam ke time kaam aye.

Padhe hue lesson par soche aur discuss kare apne friends ke sath, group discussion study mai jaruri hota hai.

Old questions paper ke anusar important topic ko select karle aur unhe ache se prepare karle.
Sahi food le kyuki jayda food khane se neend and alas ata hai, jabki kam food lene se padhne main man nhi lagta hai, aur thake hue, dimaag (brain) pain etc problems aa jati hai.

Picture, map, graph etc ki help se study kare. Ye jayda time tak mind mai rehte hai.

Study mai computer aur internet ki help le sakte hai.

Is trah se aap padhai main man laga sakte hai, agar fir bhi padhai me man nahi lagta toh aap comment main apni problems likh sakte hai.

Padhai Kaise Kare Hoshiyar Bane.

Tags: Padhai Kaise Kare, Hoshiyar Kaise Bane, Exam Ki Tayari Kaise Kare. Kaise Padhe, Abhyas Kaise Kare, Hoshiyar Kaise Bane.


Alexa Kya Hota Hai – Site Ranking Pata Kyakaisa

Hello Bloggers, Aaj mai aap ko Alexa Kya Hota Hai Aur Site Ranking Pata Kaise Kare iske baare mai bataunga. Alexa Rank kya hai Ye kaise Work karti hai ye sab mai yahan apko bataunga. Aap sabhi ye to jante hai ki jo website jitni popular hogi us par utna hi jyada load, traffic aur visitors ka hona pakka hai. Kyon ki sabhi achhi Alexa Ranking ye to sochte hai ki website ki ranking agar itni achi hai to isme jarur kuch na kuch achha jarur milega. Alexa Ranking apki website ki popularity batane ke liye sabse achha tools hai. To chaliye jane Alexa Kya Hota Hai Aur Site Ranking Pata Kaise Kare.

Alexa Kya Hota Hai – Site Ranking

Alexa humare blog ya site ke liye analytic tool ka kam karati hai. Alexa ka kam ye hai ki humare blog ka globally rank, country rank show karati hai. Agar aapka blog ya website hai to aapke liye alexa kya hai ye samajana jaruri hai. Alexa Ranking hamari website ki popularity batata hai. Alexa traffic Rank Apke website ke traffic ke jyada ya kam hone ke hisab se increase decrease hoti hai. Jab aap apne site ko alexa me submit karte hai to Apke site ki Rank lakh ya crore me hoti hai. Ho sakta hai shuruaat mai apko waha koi rank dikhai na de. But jaise jaise traffic badhne lagti hai rank bhi kam hone lagti hai. Phir aap waha dekh sakte hai.

Alexa.com par aap dusri website ki information bhi dekh sakte hai. Aap alexa rank check kar ke uss site ki visitors ka andaza laga sakte hai. yani approximate kitne visitor aate hai uss site pe ye aap jan sakte hai. Alexa.com khud ek website ki rank batane wali bahut hi popular website hai. Agar aap Alexa Ranking widget apni website ya blog par laga kar rakhate hai to jo bhi visitor aap ki website par aate hai aur woh is Alexa Ranking ki widget ko dhekhate hai. Aur agar aap ki Alexa Ranking achhi rahti hai to logo ko lagata hai ki website bahut achhi hai tabhi to eska Alexa Ranking etna achha hai. To woh apki website par baar baar aana pasand karenge. (Alexa Kya Hota Hai Aur Site Ranking Pata Kaise Kare).

Alexa.com par website ki information

Blog Pe Alexa Rank show karne ki jarurat kyon hai. Alexa.com par register karne ke benefits aur information maine niche mention kiye hai.

Alexa rankse aap apki website ki global rank aur country ranking dekh sakte hai.
Isse apki website kitni popular ho rahi hai ye pata laga sakte hai.
Websitese kitni or websites se linking hai woh bhi bata deta hai.
Websitepar visitors kaun si jagah se aate hai ye bhi pata chalta hai.
Apke website ki Countryme ki kitni rank hai ye bhi ap ko ye bata deta hai.
Websitepar visitor kitni der tak aata hai aur kitni der rukta hai ye batata hai. Ise hum Bounce Rate kahte hai.
Alexa se apko apki websitepar har din kitne samay use hoti hai ye pata chal jata hai.
Note: To agar apne blog ya site paise kamane ki liye banayi hai, agar aap apne blog pe advertisement se paise kamane chahate hai to aapko apni site pe alexa rank show karana padata hai. Kyon ki jyada tar advertiser aapki site ka alexa rank dekhakar aapki site ko judge karate hai. Aapki site ka alexa rank jitna kum hoga utni aapki site popular hai yesa mana jata hai. Aur to aur jo blogger, professional log hote hai wo bhi aapki site ka alexa rank dekhakar hi visit karate hai. Agar aap site se advertisement ke jariye paise nahi kamana chahate hai to aapko apni site ko alexa me verify karane ki koi jarurat nahi hai.

Janiye Website Ko Alexa Rank Mai Show Kaise Kare.
Mujhe umeed hai apko ye article accha laga hoga. Apne dosto ke sath aisi jankariya jarur share kare jo blogging me interest rakhte hai. Ye post ko un tak Jarur pahunchaye.
www.kyakaisa.in ke bare mai unhe jarur bataye.

Alexa Kya Hota Hai Aur Site Ranking Pata Kyakaisa

Blogging Kyakaisa | Full Guide

नाम = "मूल्य" आईडी गुण एक तत्व के लिए एक दस्तावेज चौड़ा अद्वितीय पहचानकर्ता प्रदान करता है: HTML तत्वों attributesAttributes अतिरिक्त जानकारी प्रदान एक elementAttributes हमेशा प्रारंभ tagAttributes में निर्दिष्ट कर रहे हैं के बारे में जैसे नाम / मान जोड़े में आते हैं हो सकता है। यह शैली के द्वारा प्रयोग किया जा सकता है प्रस्तुतिकरण गुण प्रदान करने के लिए ब्राउज़र द्वारा विशिष्ट तत्व पर ध्यान केन्द्रित करने के लिए, या स्क्रिप्ट द्वारा सामग्री या एक तत्व की प्रस्तुति को बदलने के लिए। पेज का यूआरएल के साथ संलग्न है, यह एक तत्व के लिए एक विश्व स्तर पर अद्वितीय पहचानकर्ता प्रदान करता है; आम तौर पर पेज की एक उप-धारा। वर्ग विशेषता इसी तरह के तत्वों को वर्गीकृत करने का एक तरीका प्रदान करता है। इस अर्थ या प्रस्तुति प्रयोजनों के लिए इस्तेमाल किया जा सकता है। शब्दार्थ, उदाहरण के लिए, वर्गों माइक्रोफ़ॉर्मेट में उपयोग किया जाता है। Presentationally, उदाहरण के लिए, एक HTML दस्तावेज़ पदनाम वर्ग = "अंकन" का उपयोग करने के लिए संकेत मिलता है कि इस वर्ग के मूल्य के साथ सभी तत्वों दस्तावेज़ के मुख्य पाठ करने के लिए अधीनस्थ रहे हैं हो सकता है। इस तरह के तत्वों को एक साथ एकत्र हुए और इसके बजाय वह जगह है जहां वे HTML स्रोत में घटित में प्रदर्शित होने के एक पृष्ठ पर फ़ुटनोट के रूप में प्रस्तुत किया जा सकता है। एक लेखक एक विशेष तत्व के लिए शैली गैर attributal कोड प्रस्तुतिकरण गुणों का उपयोग कर सकते हैं। यह एक तत्व की आईडी या वर्ग एक शैली के साथ तत्व का चयन करने के लिए विशेषताओं का उपयोग करने के लिए, हालांकि कभी कभी इस स्टाइल गुण का एक सरल और विशिष्ट या तदर्थ आवेदन के लिए भी बोझिल हो सकता है बेहतर अभ्यास माना जाता है। शीर्षक विशेषता एक तत्व को subtextual विवरण संलग्न करने के लिए प्रयोग किया जाता है। सबसे ब्राउज़रों में यह विशेषता है जो अक्सर एक टूल टिप के रूप में जाना जाता है के रूप में प्रदर्शित किया जाता है। संक्षिप्त नाम तत्व, abbr, इन विभिन्न विशेषताओं को प्रदर्शित करने के लिए इस्तेमाल किया जा सकता है:

उदाहरण गुण

HTML लिंक <a> टैग के साथ परिभाषित कर रहे हैं। लिंक का पता href गुण में निर्दिष्ट किया जाता है:

उदाहरण

<a href="http://www.w3schools.com"> यह एक कड़ी है </a>

हमेशा उद्धरण विशेषता मान

विशेषता मान हमेशा उद्धरण में संलग्न किया जाना चाहिए।

डबल शैली उद्धरण सबसे आम है, लेकिन एकल शैली के उद्धरण भी अनुमति दी जाती हैं।

कुछ दुर्लभ स्थितियों में, जब विशेषता मान खुद उद्धरण शामिल हैं, यह आवश्यक है एक उद्धरण का उपयोग करने के लिए है: नाम = 'जॉन' शॉटगन 'नेल्सन'

एचटीएमएल टिप: उपयोग छोटे गुण

नामों विशेषता और विशेषता मान स्थिति के प्रति संवेदनशील हैं।

हालांकि, वर्ल्ड वाइड वेब कंसोर्टियम (W3C) लोअरकेस गुण / विशेषता मान अपने HTML 4 सिफारिश में सिफारिश की।

के (एक्स) एचटीएमएल नया संस्करण लोअरकेस विशेषताओं की मांग करेंगे।

एचटीएमएल गुण संदर्भ

प्रत्येक HTML तत्व के लिए कानूनी विशेषताओं की एक पूरी सूची हमारे में सूचीबद्ध है:

नीचे कुछ गुण है कि सबसे HTML तत्वों के लिए मानक हैं की एक सूची है:

एक elementididSpecifies के लिए एक classname AttributeValueDescriptionclassclassnameSpecifies एक अद्वितीय पहचान एक elementstylestyle_definitionSpecifies के लिए एक elementtitletooltip_text के लिए एक इनलाइन शैली एक तत्व (एक टूल टिप के रूप में प्रदर्शित) के बारे में अतिरिक्त जानकारी निर्दिष्ट

Popular Posts

MKRdezign

Contact Form

Name

Email *

Message *

Design & SEO by TechNetSurf. Powered by Blogger.
Javascript DisablePlease Enable Javascript To See All Widget