.

Facebook Account Safe Kaise Rakhe 11 Secret Tips


Facebook Account Safe Kaise Rakhe 11 Secret Tips

Abhi kuch din pahle kisi hackers group ne dawa kiya tha ki india ke facebook accounts se 70% girl or ladies ke photo porn or sexy sites par send kiye ja rahe hai. is news ke aane ke sath hi facebook ne apne user ki security or badhayi hai. agar aap in kacker se bachna chahate hai or apne photo safe rakhna chahate ho to ye tips apnaye. aapka facebook account 80% safe rahega. agar ye bat sach hai to sochne wali bat hai. isliye hu m le kar aaye hai kuch aysi secret tips jo aapke facebook account ko hack hone se bachayegi. or aapki photo koi chura nahi sakega.



Actually social sites allready seucure rahti hai. but hum apne social account ki securty settings ko ignore kar dete hai. jiski wajah se hacher aasani se humare account ko hack karke humari personal jankari chura lete hai. maine Blog Ki Security Ke Liye HTTPS Enable Kaise Kare me btaya tha ki kis tarah hacker humari site, account, email ko hack karte hai. ab mai aapko facebook security ke bare me kuch tips de raha hu. aapko sahi lage to aap follow kar sakte ho.



Darasal facebook me pahle se apne account ko secure karne ki suvidha mojud hai. aapko sirf kuch step follow karke apne facebook account ki settings is tarah set karni hai ki aapki personal information koi chura nahi paye. follow below step.

1) Facebook Photos, Posts, Status Ko Anjane Logo Se Bachaye

facebook me pahle se ye security mojud hai ki aap anjane logo ser apni activity hide kar sako.

Accont setting:

ab settings & privacy par jaye.
ab jaha kahi bhi privacy publish ho. waha privacy change karke only my firends ya only me, jo bhi aap karna chahe set kare.
Fcebook page setting:

apne facebook page ke right side me diye icon par click kare.
ab aapko ‘Privacy Settings and Tools’ ka option dikhayi dega.
isme ‘Who can see my future posts?’ par click karke. aap apni privacy only me ya only my friens karke apni posts anjane logo se bacha sakte hai.
2) Facebook Log in Alert On Kare

humesha facebook log in alert ko on rakhe. facebook alert on hoga to jab koi aapke account ke sath chedchad karega ya log in karne ki koshish karega to aapko iska email ya message mil jayega.

facebokk settings par jaye.
Security Settings par click kare.
Log in alert par click kare.
ab alert option ko on karke setting save kare.
3) Bina Pahchan Ke Person Ki Friend Request Block Kare

Facebook par kei bar aapko anjane logo ki friend rquest milti hai. or inhe aap accept nahi karte hai to wo bar bar rquest send karte hai. ye log hacker ho sakte hai. ayse mai aap apne account ki setting me ja kar ye set kar de ki aapko koi anjan user friend request na bhej sake.

facebook privacy setting par jaye.
ab ‘Who can contact me?’ par jaye.
yaha ‘Who can send you friends request’ par aap everyone ki jagah friends of friends select kare. ayse me aapko sirf aapke dosto ke dost hi friends rquest send kar sakenge.
4) Message Filter Kare

Agar aapke pas jarurat se jyada message aate hai to aapko message filter setting me ja kar message filter setting karni hai. message filter settings set karna isliye jaruri hai ki yaha se bhi aapki private information leek ho sakti hai.

facebook privacy settinfg paer jaye.
‘Whose messages do  want filtered into my inbox’ par click kare.
yaha basic or strict 2 option honge.  aap strict set kare. jise aapke pas aane wala har message filter ho.
5) Email Address Hide Kare

Bahut se log email id se facebook account banate hai or apni email id ko facebook account par publish karke chod dete hai. ayse mai hacker aapki email id pata karke aapke pas facebook ke fake message bhejta hai. jaise koi offer ya kuch or ayse me aap us link par click karke jab log in karte ho to hacker ko aapke password mil jate hai.



iske liye aap ‘who can look you up using the email address you provided?’ par jaye.
yaha par everyone ki jagah friends select kare.
6) Mobile Number Hide Kare

Agar aapki facebook profile par aapke mobile number add hai to phone no. ko bhi yaha se churaya ja sakta hai. so apne mobile number kabhi bhi publish na kare.

facebook setting me ‘who can look you up using the phone number you provided?’ par jaye.
ab evryone ki jagah friends select kare.
7) Timeline or Tagging

Kai bar aapki timeline par aysi photo share ki jati hai. jo aapke liye galat ho sakti hai.ayse mai is bat ka dhyan rakhna jaruri hai ki koi aapko galat images me tag na kar sake.

timeline and tagging setting par jaye.
Who can post on your timeline?, Who can see posts you’ve been tagged in on your timeline?, Who can see what others post on your timeline? sab par only me set kare.
8) HTTPS Ka Rakhe Khyal

Aap jab bhi kisi site par log in ya sign up kare to ek bat ka humesha dhyan rakhe ki wo site https:// se start hoti ho. fir chahe wo social media ho ya koi or site ho. https ka matlab hota hai Hypertext Transfer Protocol Secure. ise website security ke liye hi banaya gaya hai. jo site https se start hoti hai. un par aapki id koi nahi chura sakta hai.

9) Active Security Code

apne facebook account ko secure rakhne ke liye humesha security code active rakhe . isse aapko apne account ke bare me jankari milti hai. or koi aapke account par chedchad nahi kar sakta.

facebook settings par jaye.
security settings par click kare.
Code Generater par click kare.
Ab yaha apr ek unable ka option aayega. is par click karte hi ek box khulega. isme aapko security number dalna hai. aapko ye security code facebook apps se milega. facebook apps ke menu me ye option hota hai. yad rahe apps se code milne ke bad ise 30 second se pahle box me enter karke submit karna hota hai.

10) Log Out Any where

Hum aksar jaldbazi me apna facebook account log in hi chod dete hai. ayse me iske sath koi bhi ched khani kar sakta hai. facebook me ab aysa feature hai ki aap kahi se bhi log out kar sakte ho. facebook par aapke account se kab kaha or kis browser ya android mobile se log in kiya hai sab save ho jata hai. ise aap niche diye tarike se delete kar sakte ho. iska fayda ye hai ki agar aap kisi or ke computer ya phone me log in karke chod aaye hai to aap use apne device se log out kar sakte ho.

facebook settings par jaye.
security settings par click kare.
ab ‘where you are logged in me dekhiye. aapne jaha bhi apna account open kiya hoga. sabki jankari yaha hogi. in sabko log out kar de.
11) Followers Setting

followers setting me agar aapne setting publish kar rakhi hai to aapke friends ke sath aapko follow karne wale bhi aapki post dekh sakte hai. ayse mai hacker aapko follow karke aapki image chura sakta hai. isliye followers setting ko bhi publish nahi rakhe. aap facebook setting>>followers>>who can follow me par everyone ki jagah friends select kar sakte ho.

Post Summary:

Ummid hai is post ko padne ke bad aap apne facebook account ko secure rakh sakte ho or aapka facebook account hack nahi hoga. is post me btayi tips ke alawa abhi facebook par apne account ko safe rakhne ke or bhi bahut tarike hai. jinke bare me hum aanr wale time me bat karenge. abhi ke liye itna hi bahut hai.



Is Message ko ignore na kare. or apne 5 minute de kar apne facebook account ki securty set kar le taki future me aapko kabhi account hacking ka samna na karna pade. becoz ab hacker ki power day by day badhti ja rahi hai. agar aapko ye post achi lagi ho to ise share jarur kare.




Labels:

Post a Comment

Popular Posts

MKRdezign

Contact Form

Name

Email *

Message *

Design & SEO by TechNetSurf. Powered by Blogger.
Javascript DisablePlease Enable Javascript To See All Widget