.

Alexa Kya Hota Hai Aur Site Ranking Pata Kaise Kare Hindi Me


Alexa Kya Hota Hai – Site Ranking Pata Kyakaisa

Hello Bloggers, Aaj mai aap ko Alexa Kya Hota Hai Aur Site Ranking Pata Kaise Kare iske baare mai bataunga. Alexa Rank kya hai Ye kaise Work karti hai ye sab mai yahan apko bataunga. Aap sabhi ye to jante hai ki jo website jitni popular hogi us par utna hi jyada load, traffic aur visitors ka hona pakka hai. Kyon ki sabhi achhi Alexa Ranking ye to sochte hai ki website ki ranking agar itni achi hai to isme jarur kuch na kuch achha jarur milega. Alexa Ranking apki website ki popularity batane ke liye sabse achha tools hai. To chaliye jane Alexa Kya Hota Hai Aur Site Ranking Pata Kaise Kare.

Alexa Kya Hota Hai – Site Ranking

Alexa humare blog ya site ke liye analytic tool ka kam karati hai. Alexa ka kam ye hai ki humare blog ka globally rank, country rank show karati hai. Agar aapka blog ya website hai to aapke liye alexa kya hai ye samajana jaruri hai. Alexa Ranking hamari website ki popularity batata hai. Alexa traffic Rank Apke website ke traffic ke jyada ya kam hone ke hisab se increase decrease hoti hai. Jab aap apne site ko alexa me submit karte hai to Apke site ki Rank lakh ya crore me hoti hai. Ho sakta hai shuruaat mai apko waha koi rank dikhai na de. But jaise jaise traffic badhne lagti hai rank bhi kam hone lagti hai. Phir aap waha dekh sakte hai.

Alexa.com par aap dusri website ki information bhi dekh sakte hai. Aap alexa rank check kar ke uss site ki visitors ka andaza laga sakte hai. yani approximate kitne visitor aate hai uss site pe ye aap jan sakte hai. Alexa.com khud ek website ki rank batane wali bahut hi popular website hai. Agar aap Alexa Ranking widget apni website ya blog par laga kar rakhate hai to jo bhi visitor aap ki website par aate hai aur woh is Alexa Ranking ki widget ko dhekhate hai. Aur agar aap ki Alexa Ranking achhi rahti hai to logo ko lagata hai ki website bahut achhi hai tabhi to eska Alexa Ranking etna achha hai. To woh apki website par baar baar aana pasand karenge. (Alexa Kya Hota Hai Aur Site Ranking Pata Kaise Kare).

Alexa.com par website ki information

Blog Pe Alexa Rank show karne ki jarurat kyon hai. Alexa.com par register karne ke benefits aur information maine niche mention kiye hai.

Alexa rankse aap apki website ki global rank aur country ranking dekh sakte hai.
Isse apki website kitni popular ho rahi hai ye pata laga sakte hai.
Websitese kitni or websites se linking hai woh bhi bata deta hai.
Websitepar visitors kaun si jagah se aate hai ye bhi pata chalta hai.
Apke website ki Countryme ki kitni rank hai ye bhi ap ko ye bata deta hai.
Websitepar visitor kitni der tak aata hai aur kitni der rukta hai ye batata hai. Ise hum Bounce Rate kahte hai.
Alexa se apko apki websitepar har din kitne samay use hoti hai ye pata chal jata hai.
Note: To agar apne blog ya site paise kamane ki liye banayi hai, agar aap apne blog pe advertisement se paise kamane chahate hai to aapko apni site pe alexa rank show karana padata hai. Kyon ki jyada tar advertiser aapki site ka alexa rank dekhakar aapki site ko judge karate hai. Aapki site ka alexa rank jitna kum hoga utni aapki site popular hai yesa mana jata hai. Aur to aur jo blogger, professional log hote hai wo bhi aapki site ka alexa rank dekhakar hi visit karate hai. Agar aap site se advertisement ke jariye paise nahi kamana chahate hai to aapko apni site ko alexa me verify karane ki koi jarurat nahi hai.

Janiye Website Ko Alexa Rank Mai Show Kaise Kare.
Mujhe umeed hai apko ye article accha laga hoga. Apne dosto ke sath aisi jankariya jarur share kare jo blogging me interest rakhte hai. Ye post ko un tak Jarur pahunchaye.
www.kyakaisa.in ke bare mai unhe jarur bataye.

Alexa Kya Hota Hai Aur Site Ranking Pata Kyakaisa

Blogging Kyakaisa | Full Guide

Labels:

Post a Comment

Popular Posts

MKRdezign

Contact Form

Name

Email *

Message *

Design & SEO by TechNetSurf. Powered by Blogger.
Javascript DisablePlease Enable Javascript To See All Widget